Waqt ne dekho kaise barpa apna kehar hai
Kal ke mahal aaj bache baas khandahar hai
Pyar ke amrit pe jeeta kai baar nafrat ka zehar hai
Laga khuda bhi rooth, bhoola apni meher hai
Par akhir hoti sham ke baad khoobsurat sehar hai
Kyunki, ek jagah hai jahan andher nahi, chahe thodi der hai.
Takdeer bhi tabhi cheen leti hai, sab kuch dekar bhi,
Isiliye toh dekho kal se kitne badle aaj ke manzar hai.
Kayam kahan kuch, har pal zindagi ki ret par aati ek nayi lehar hai,
Ae insaan, insaaf toh kar khud se, ek insaan reh kar.
No comments:
Post a Comment