Monday, December 15, 2008

Ma tu kyun itna yaad aati hai?




Maa...

tu har pal kyun itna yaad aati hai...


tu yaad aati hai, jab mein alarm se uthta hoon,

tu yaad aati hai, jab button se dhaga nikal jata hai,

tu yaad aati hai, jab mein rumal-pant ki jeb mein dhoondta hoon,

tu yaad aati hai, jab pados-se mujhe hansne ki awaz aati hai,

tu yaad aati hai, jab mein roti alag-si khata hoon,

tu yaad aati hai, jab mein ghar pe talla laga kar jaata hoon,

tu yaad aati hai, jab mein khali khidki ki taraf mud kar dekhta hoon,

tu yaad aati hai, jab tiffin mein teri khushboo nahi hoti,

tu yaad aati hai, jab sabzi mein namak kum hota hai,

tu yaad aati hai, jab niwala gale se neeche nahi utarta,

tu yaad aati hai, jab ghar lautne ki sadak mujhe wajah nahi deti,

tu yaad aati hai, jab haath ghanti ki aur nahi-chabbi ki aur jaata hai,

tu yaad aati hai, jab ghar waisa hi milta hai-jaisa subah tha,

tu yaad aati hai, jab maan chahta hai- ek daant ki aaj paidal kyun aaya,

tu yaad aati hai, jab tasveer teri- dhool ya aansu se- dhundli nazar aati hai,

tu yaad aati hai, jab mein apna man pasand khana-janmdin par-hotel mein order karta hoon,

tu yaad aati hai, jab ek muskan nahi dikhti-meri thakan utarne ko,

tu yaad aati hai, jab sir takiye par arram ko talash-ta hai,

tu yaad aati hai, jab jee tujhse gale lipat jane ko karta hai,


Maa... tu har pal kyun itna yaad aati hai...