Tuesday, June 30, 2009

JO HOTI AGAR EK JAADUI CHADDI MERE PAAS




Jo hoti aggar ek jadui chadi mere paas...
Dekhta jaadu mera-yeh dharti aakash...

Mein na gayab karta train na taj mahal...
Mein muskaan bantne ki karta pehal...

Kyun bhala koi baacha agyan ke andheron mein rahey,
Kyun koi aadhey pet pe sooye?

Kyun bhala bechhargi sadkon pe bheekh mange?
Kyun bhala desh ka bhavishya itna laachar sa jeeye?


Jo hoti aggar ek jadui chadi mere paas...
Dekhta jaadu mera-yeh dharti aakash...

Mein na gayab karta train na taj mahal...
Mein muskaan bantne ki karta pehal...

Kyun bhala pedo ko kaat kar building ka jungle ban jaye?
Kyun bhala hum baache- khelne ko bageechon mein nahi, video game se maan behlaaye?

Kyun bhala chidiya ki zindagi bhi ho tinkon si bikhari hui?
Kyun aakhir woh ghoslon ki talash mein, bijali ke taaro par aashiyan dhundti?


Jo hoti aggar ek jadui chadi mere paas...
Dekhta jaadu mera-yeh dharti aakash...

Mein na gayab karta train na taj mahal...
Mein muskaan bantne ki karta pehal...

Kyun bhala ho insaanon ki basti mein itni ashanti?
Kyun bhala ho haar taraf takat ki maara-maari?

Kyun bhala bomb ke dhamake ma ke anchal ko bhigoye?
Kyun bhala ek biwi-beti apni takdeer ko roye?


Jo hoti aggar ek jadui chadi mere paas...
Dekhta jaadu mera-yeh dharti aakash...

Mein na gayab karta train na taj mahal...
Mein muskaan bantne ki karta pehal...

Mein na gayab karta train na taj mahal...
Mein 'muskaan' bantne ki karta pehal...
Mein 'zindagi' bantne ki karta pehal...

No comments: